Wednesday, March 10, 2010

Big flix

Big flix radio scripts


1.
Child and mom.
FVO: Chintu, aaj tumhaara results the naa.
MVO1: Haan mummy,
FVO: (stern) kitne marks mile, chintu?
MVO1: pataa hai, rohit ko sabse kam marks mile.
FVO: Main tumhe pooch rahi hoon, tumhe kitne marks mile.
MVO1: aadhe bachhe toh fail ho gaye sab subjects mein, main toh sirf ek mein hi fail hua hoon.
FVO: Kyaaaaaaaaaa…… yeh sunne ke pehle dharti phat kyun nahin gayi aasmaan kyun nahin toot padaa..
MVO1: Maa, jeet ki pehli seedi haar hoti hai, "Kuch pane ke liye bhi kuch khona padta hai, aur kuch pa kar khone wale ko Baaziger kehte hain"
FVO: Is ghar ke darwaaze, tumhare liye hamesha ke liye band hain, chintu.
MVO2: ab aam zindagi ban jayegi filmy Big Flix ke saath.

2.
Two people standing in a bus, stuck in traffic.
MVO1: bhaisaab time kitna hua.
MVO2: 10 30 baje hain
MVO1: main late ho gaya, iss traffic mein toh main bhaag ke jaldi pahunch sakta hoon.
MVO2: aisa toh life mein aadmi doeech time bhagta ek olympic ka race hoya jahan police ka case ho, tum kis chakkar mein bhagta hai bhai.
MVO1: Paapi pet ka sawaal hai, do waqt ki roti ke liye, naukri chahiye.
MVO2: Yeh world haina, world? Ismein do tarah ke log hote hain. Ek, jo saari zindagi ek hi kaam karte rehte hain. Aur, doosre, jo ek hi zindagi mein saare kaam karte hain. Zindagi ke raftar pe thoda kabu rakh, dost.
MVO3: ab aam zindagi ban jaayegi filmy. Big flix ke saath.

No comments: